Hello Dear..
Apke question ka answer karne se pehle main apko batana chahungi ki aapne apne baby ki age nhi batayi hai, age batane se question thoda jyada clear ho jata hai.
Experts ka manna hai ki yeh baat bachcho mein aam hoti hai. Shote bachche aksar doodh peene ke baad ulti kar dete hain. jise dekh kar parents pareshaan hone lagte hain. bachche ke aisa karne ke piche Iska ek mukhya karan bachche ka jyada doodh pee lena bhi ho sakta hai. Vaise yeh bhi maana jata hai ki agar baby doodh nikaal dete hain to vo savasth hote hain. Iska mukhya karan yeh bhi hota hai ki, jab baby doodh peete hain to doodh muscular tube se hota hua pet tak jata hai, agar baby ke doodh peene ke baad ye tube properly band na ho to kuj doodh usme store ho jata hai jisse bachche ke pet pe jara sa jor dalne ya padhne par bhi vo doodh bahr nikal dete hain.
Agar hum yeh rokne ki baat karein to experts ke according yeh hum nhi rok sakte.
But aap kuj tarike aajma sakti hai
-
Jaise bachche ko ek sath jyada feed na karvayein
Feeding ke baad thoda bitha ke rakhe apni god ke sahare
Baby ko pith ke bal litaye
Agar aap apne baby ko leke jyada chintit hai to pediatrician ki salah lena na bhulein.