Mera baby 4 months ka hai, pahale wo nan pro milk leta tha aur pite he wo bahar nikal deta tha, phir maine usee Latogen diya ab milk bahar na ke barabar nikalta hai but wo milk khush ho ke nahi pita….i wants to know ki usko Kon sa milk doon
Nan Pro ke mukabale mein Lactogen ko digest karna baby ke liye aasan hota hai. Isliye, agar woh pehle dudh bahar niklta tha, to uska ek karan digestion bhi ho sakta hai. Jahan tak uske khush na ho kar dudh peene ki baat hai, to yah bohat hi normal hai. Bahut se bache aisa hi krte hain. Jab bhi aap kisi ek dudh ko dusre se badalti hain, to bache ka use savikar na karna swabhavik hota hai. Is liye jyada chinta krne ki baat nahi hai. Kuch dino ke baad, jaise hi aapka baby lactogen ke swad ka aadi ho jaega, wah ise bhi savikar kar lega. Umeed krti hoon ki aapke bache ko kisi tarah ki allergy nahi hai. Allergy ke bare aap hamare yeh lekh padh sakte hain –
- शिशुओं में लैक्टोस असहिष्णुता अर्थात दूध न पचने की समस्या के संकेत
- क्या आप फूड एलर्जीस के बारे में जानती है?
In sab ke ilawa, main aapse request krungi ki ek baar apne pediatrician se bhi jrur mil le.