mere breast milk supply bilkul nhi ho rhi me kya karu
Main apko batana chahungi ki agar apka pehla baby hai to aapko apni pasand ko darnikar kar apne bachche ke swasathay ke liye sawasath bhojan lena chahiye kyunki dhudh utpadan ke liye shareer ko achche bhojan ki jarurat hoti hai. Jitna ho sakta hai tanaav se door rahein kyunki tanaav oxytocin ke utpaadan mein rukavat daalta hai, oxytocin hi vo hormon hai jo dhudh ki supply badhane mein madad karta hai. Aap jayi ka daliya kha sakti hain bohat mothers se yeh sunne mein aya hai ki isse unke dudh mein vridhi ayi hai. Inke ilava aap tulsi ka sewan kar sakti hai kyunki tulsi mein vitamin k paya jata hai. Aap ise honey ya soup ke sath bhi le sakti hain.
Jyada jaankari ke liye aap hmare yeh lekh padh sakti hain –
स्तनपान करवाने वाली मां के लिए विटामिन और सप्लीमेंट
स्तनपान से जुड़ी समस्याओं के लिए किए जाने वाले कुछ घरेलु उपचार
स्तनों में दूध बढ़ाने के लिए क्या किया जाए